Monday, February 18, 2013

Achhai Burai

Kya bhala hai kya bura?
Ye kaun tay karega ?

Mujhe jo achha lagta hai vo achha hai ya bura?
Ye tay karne vale dusare log kaun hote hain?

Par agar main kisi ko haani pahunchaun to kya mera kaam achha hai?

Agar koi mere kaam se jalan rakhe to use haani to hogi hi.

Ab kya vo nishchit karega ki ye galat tha jo maine kia?

Vo insaan sahi ya galat tay karne vala kaun hota hai jo sirf sikka dekhe, uske do pahlu na dekhe.


Monday, January 14, 2013

Mere Bachpan

Mere bachpan aaj tu yaad bahut aata hai
Mere vo asli jeevan aaj fir tu yaad bahut aata hai

Papa ke kandhon par maaghi snan,
dhul me khelne ki lalak aur us par milti fatkaar
Pedon se fal chadhkar todne ki lalak
Balle se gend ki pitayi karne ki laalach
Sab yaad bahut aata hai

Maaghi mela ho ya Kumbh mausam hamesha ek rahta hai

Sunday, December 2, 2012

Always forgive your enemies; nothing annoys them so much.

After a long time few words from me

Kabhi yun sunapan bhi hota hai
Tu kareeb aur dil kahin door hota hai

Tere jane ka manjar aise hain lagte
Mandir ki chaukhat par jaise koi bhukha Gareeb rahta hai

Na jaya karo yun tanha chhod kar
Zindagi kiski sagi hai, Waqt kab kiske karee rahta hai


Vikash Tripathi


03/Dec/2012

Monday, September 12, 2011

हर दस्तक उसकी दस्तक

दरवाजे पर हर दस्तक का जाना पहचाना चेहरा है
रोज़ बदलती हैं तारीखें वक़्त मगर यूँ ही ठहरा है

हर दस्तक है उसकी दस्तक दिल यूँ ही धोका खाता है
जब भी दरवाजा खुलता है कोई और नज़र आता है …